Chaand ke saath ka_ii dard puraane nikale
Kitne gham the jo tere gham ke bahaane nikle
Fasl-e gul aa_ii phir ik baar asiiraan-e-vafaa
Apne hii khuun ke daryaa men nahaane nikle
Hijr ki chot ajab sang-shikan hotii hai
Dil kii befaiz zamiinon se khazaane nikle
Umr guzrii hai shab-e-taar men aankhen malte
Kis ufaq se meraa khurshiid na jaane nikle
Kuu-e-qaatil men chale jaise shahiidon kaa juluus
Khvaab yuun bhiigtii aankhon ko sajaane nikle
Dil ne ik iint se taamiir kiyaa taaj mahal
Tuu ne ik baat kahii laakh fasaane nikle
Dasht-e tanhaa_ii-e-hijraan men khadaa sochataa huun
Haaye kyaa log meraa saath nibhaane nikle
Main ne AMJAD use bevaastaa dekhaa hii nahiin
Vo to khushbuu men bhii aahat ke bahaane nikle
-----------------------------------------------------
maayuus to huuN vaade se tere kuchh aas nahiiN kuchh aas bhii hai
main ap'ne KhayaaloN ke sad'qe tuu paas nahiiN aur paas bhii hai
ham'ne to Khushii maaNgii thii magar jo tuune diyaa achchhaa hii diyaa
jis Gham ko taa'alluq ho tujh'se wo raas nahiiN aur raas bhii hai
pal'koN pe laraj'te ashkoN meN tasviir jhalak'tii hai terii
diidaar kii pyaasii aaNkhoN ko ab pyaas nahiiN aur pyaas bhii hai
-----------------------------------------------------
chaand maddham hai aasmaaN chup hai
neeNd ki god meiN jahaaN chup hai
door vaadi meiN doodhiyaa baadal
jhuk ke parbat ko pyaar karte haiN
dil meiN naakaam hasrateiN lekar
ham tera intezaar karte haiN
in bahaaroN ke saaye meiN aa jaa
phir muhabbat javaaN rahe na rahe
zindagii tere naamuraadoN par
kal talak meharbaaN rahe na rahe
roz ki tarah aaj bhi taare
subah ki gard meiN na kho jaayeiN
aa tire Gham meiN jaagtii aaNkheiN
kam se kam ek raat so jaayeiN
chaand maddham hai aasmaaN chup hai
neend ki god meiN jahaaN chup hai
Phr Yaad-e-Khuda Se Ghafil Iss Duniya Ki Hawass Mein
Iss Mukhtasir Si Zindgi Ka Ik Aor Din Beet Gaya...!!!<<<<<<<<<< sAd pAncHi >>>>>>>>>>
--
Virtual University of Pakistan*** IT n CS Blog
================================
http://www.geniusweb.tk
http://itncs.tk
You received this message because you are subscribed to the Google
Groups "vulms" group.
To post to this group, send email to vulmsit@googlegroups.com
To unsubscribe from this group, send email to
vulmsit+unsubscribe@googlegroups.com
For more options, visit this group at
http://groups.google.com/group/vulmsit?hl=en?hl=en
No comments:
Post a Comment