Kal Shaam Tere Kayaam Kiska Tha..?
Na Tha Koi Musafir To Ehtmam Kiska Tha ?
Likh Likh Choomti Rahi Jisko Raat Bhar Aankhen Tumhari..
Humen Bhi Batlao Wo Naam Kiska Tha..?
Jisko Sunke Ro Pade Ahle-Mehfil..
Itna Bheegta Hua Anjaam Kiska Tha..?
Hume Pi Ke Hosh Na Raha SAQI..
Wo Hath Kiska Tha,Wo Jaam Kiska Tha..?
----------------------------------------
Gum-gashta mohabbat k, khwabon ki tarah hai
Woh rooh k sehra mein sarabon ki tarah hai
Wo zeest k maktab mein nisabon ki tarah hai
Parhta hoon usse roz, kitabon ki tarah hai
Ab un se khayalon mein hii ho jatii hien baatien
Gou beech mein parda sa hijabon ki tarah hai
Us shaks k lehjay mein sheeshay ki khanak hai
Rug rug mein uterta hai, sharabon ki tarah hai
Us shaks k paikar mein hai shaakhon ki lachak si
Us shaks ka chehra bhee gulabon ki tarah hai
Jo vasal ki raaton mein hai ik mah-e-munaver
Furqat mein wohii shaks azabon ki tarah hai...
--
Phr Yaad-e-Khuda Se Ghafil Iss Duniya Ki Hawass Mein
Iss Mukhtasir Si Zindgi Ka Ik Aor Din Beet Gaya...!!!<<<<<<<<<< sAd pAncHi >>>>>>>>>>
--
Virtual University of Pakistan*** IT n CS Blog
================================
http://www.geniusweb.tk
http://itncs.tk
You received this message because you are subscribed to the Google
Groups "vulms" group.
To post to this group, send email to vulmsit@googlegroups.com
To unsubscribe from this group, send email to
vulmsit+unsubscribe@googlegroups.com
For more options, visit this group at
http://groups.google.com/group/vulmsit?hl=en?hl=en