Jo sar kasheeda ho,usey daar kare hai
Aghyaar to karte thay so ab yaar kare hai
Woh kon sitamgar thay ke yaad aane lage hain
Tu kaisa maseeha hai ke beemar kare hai
...
Ab roshni hoti hai ke ghar jalta hai,dekhain
Shola sa tawaf-e-dar-o-deewar kare hai
Kia dil ka bharosa hai,yeh sambhle na sambhle
Kyun khud ko pareshan mere ghumkhwar kare hai
Hai tark-e-ta'alluq hi madawa-e-ghum-e-jaan
Par tark-e-ta'alluq to bohat khwar kare hai
Is shehar mein ho jumbish-e-lab ka kisey yaara
Yaan jumbish-e-mizgaan bhi gunahgaar kare hai
Tu lakh Faraz apni shikaston ko chupaye
Yeh chup to tere karb ka izhar kare hai.......

--
You received this message because you are subscribed to the Google
Groups "vupindi" group.
To post to this group, send email to vupindi@googlegroups.com
To unsubscribe from this group, send email to
vupindi+unsubscribe@googlegroups.com
For more options, visit this group at
http://groups.google.com/group/vupindi?hl=en
No comments:
Post a Comment