Dekh Lo Khuaab Magar Khuaab Ka Charcha Na Karo
Log Jal Jayein Ge Sooraj Ki Tamanna Na Karo
Waqt Ka Kaya Hai Kisi Pal Bhi Badal Sakta Hai
Ho Sake Tum Se To Tum Mujh Pe Bharosa Na Karo
Kirchiyan Tootay Hoye Aks Ki Chubh Jayein Gi
Aur Kuch Roz Abhi Aiina Dekha Na Karo
Ajnabi Lagne Lage Khud Tumhain Apna Wajood
Apne Din Raat Ko Itna Bhi Akela Na Karo
Khuaab Bachhon Ke Khelonon Ki Tarah Hote Hain
Khuaab Dekha Na Karo Khuaab Dikhaya Na Karo
Bekhiyali Main Kabhi Ungliyan Jal Jayein Gi
Raakh Guzre Hoye Lamhon Ki Kureedah Na Karo
Silent Noise 03006608261
MBA 4th (Finance) Faisalabad (VFSD01 Civil Line)
--
You received this message because you are subscribed to the Google Groups "Pak Youth" group.
To post to this group, send email to pak-youth@googlegroups.com.
To unsubscribe from this group, send email to pak-youth+unsubscribe@googlegroups.com.
For more options, visit this group at http://groups.google.com/group/pak-youth?hl=en.
No comments:
Post a Comment